dil ka sara dard bhara taswiron mein ek musawwir naqsh hua taswiron mein chand lakiren to is darja gahri thin dekhne wala dub gaya taswiron mein ek ajab sa jadu bikhra rangon ka sab ko apna aks dikha taswiron mein ek purane zakhm ke tanke tut gae ek purana dard mila taswiron mein bhuli-bisri yaadon ke manzar chamke mazi ka ek bab khula taswiron mein har chehre ke pichhe sau chehre ubhre sab ka parda fash hua taswiron mein waqt kahan mutthi mein aane wala tha lekin hum ne bandh liya taswiron mein baat zaban par lane ki pabandi thi hum ne sab kuchh darj kiya taswiron mein dekh sakega kaun banane wale ko sab ka sara dhyan laga taswiron mein