kaam ek ye tere aashiq ne bada khub kiya khun se likh ke rawana tujhe maktub kiya ye bhi kya kam hai teri bazm ke har samea ne mere sheron ko teri zat se mansub kiya ek mere qatl pe wawaila munasib to nahin shar-pasandon ne to isa ko bhi maslub kiya jism phulon sa tha sine mein rakha tha patthar hausla dekhiye main ne use mahbub kiya kitne diwanon ko farzana kiya hai tu ne kitne farzanon ko tujh ishq ne majzub kiya