dil ka sarmaya liye tu bhi koi bazar dekh tere dushman ka chamak uttha hai karobar dekh jis pe chalne ka sila hai manzil-e-amn-o-sukun khinch di hai waqt ne us rah mein diwar dekh ruh-e-taza kaun phunkega tan-e-be-ruh mein lashkar-e-darmandagan hai be-sipah-salar dekh hijraton ke silsile baqi hain duniya mein abhi lekin ab dhunde se bhi milte nahin ansar dekh jaan de kar jaan li tu ne bhala ye kya kiya teri qurbani hui mere gale ka haar dekh jis ki khushbu se moattar hai masham-e-zindagi be-waqar-e-wazn phirta hai wo nafa-dar dekh ai sarapa-shama bazm-e-mah-o-anjum se nikal kin andheron ko hai teri raushni darkar dekh daman-e-dil bhar ke le jate hain arbab-e-nazar be-nawa darwesh ka darbar hai darbar dekh kis ke roke se ruki hai gardish-e-lail-o-nahaar zulmat-e-shab ke pujari subh ke aasar dekh kab talak gaega 'mahir' azmat-e-mazi ke git asr-e-nau ki roz-afzun garmi-e-bazar dekh