donon aalam se wo begana nazar aata hai jo tere ishq mein diwana nazar aata hai ishq-e-but kaba-e-dil mein hai khudaya jab se tera ghar bhi mujhe but-khana nazar aata hai shoala-e-ishq mein dekhe koi jalna dil ka shama ke bhes mein parwana nazar aata hai misr ka chand bhi shaida hai azal se un ka husn ka husn bhi diwana nazar aata hai baghban bagh mein kis shokh ki tahrir hai ye waraq-e-gul pe jo afsana nazar aata hai hai ajab husn-e-tasawwur tere diwane ka tere jaisa tera diwana nazar aata hai un ki mast aankh mere dil mein hai raqsan 'purnam' khub paimane mein paimana nazar aata hai