dil ka sukun dhundhne jae bashar kahan aisa magar hai kaun sa aisa hai dar kahan tum ne to kah diya ki chale jao bazm se ye to bata do hum ko ki jaen kidhar kahan us ki gali ko chhod ke aa to gae magar ab sochte hain guzrenge sham-o-sahar kahan baitho hamare pas karo hum se dil ki baat har aadmi milega tumhein mo'atabar kahan phaili hui hai dhup masaib ki dur tak ab saya-dar rah mein meri shajar kahan jab chaaragar hi koi nahin tere shahar mein le kar main jaun apna ye zakhm-e-jigar kahan kisi ki 'qamar' talash hai kisi ki hai aarzu nikle ho itni raat mein tanha idhar kahan