daman-e-zist gham se bhar dala bewafa tujh se pyar kar dala itna ehsas ban chuka hun main apna ehsas qatl kar dala hum ne mazi se rabta karke apne zakhmon ko aaj bhar dala jis ki khatir hue hain hum ruswa wo bhi ahd-e-wafa makr dala us ko manzil to bakhsh di malik mere hisse mein kyon safar dala sab ko tujh se ata hui neamat meri duniya mein bas safar dala dil to pahle hi lut gaya 'kashif' apni ghazlon mein phir jigar dala