dil ka yun saman-e-rahat dhundhna husn ka aaghosh-e-khalwat dhundhna nim-wa makhmur aankhon mein mera mai-kade ka bab-e-ishrat dhundhna zindagi ki marka-araiyan aur mera kunj-e-uzlat dhundhna qahqari rajat hai apne zehn ki haal mein mazi ki azmat dhundhna hai muhim meri bhi ye zulmat ki un siyah aankhon mein amrit dhundhna kya nahin mauhum ashya ki talash zist mein lamhat-e-fursat dhundhna mujrimana zehn aur nazron ke sath sab ka yan masum surat dhundhna tere sine mein talash-e-agahi barf ke tudon mein hiddat dhundhna is jahan ki pastiyon se ub kar dar par 'mansur' rifat dhundna