dil kasu se to kya lagana tha hum ko manzur ji se jaana tha aastan tha wo aastana-e-ishq kat kar sar jahan chadhana tha did ko tere aae the hum yan zindagi ka faqat bahana tha nikle wo aah apne dushman-e-jaan hum ne jin jin ko dost jaana tha jis zamane mein hum hue the khalq hae wo kya bura zamana tha kyun diya us pari ko dil tu ne kya tu ai 'muntazir' diwana tha