main ashk-e-khunin baha raha hun fasana rangin bana raha hun nuqush-e-arman bana raha hun bana raha hun mita raha hun nahin koi rahbar to kya gham kisi taraf ko to ja raha hun junun ki sarhad mein aa gaya hun khirad ko rasta bata raha hun bala hai ye shauq-e-rah-nawardi ki aage manzil se ja raha hun alag hua khizr se ye kah kar main apni manzil pe ja raha hun zamana badla hai be-nawa hun kabhi tera ham-nawa raha hun ye na-tawani mein bhi hai dam-kham ki bojh gham ke utha raha hun wo mashq apni badha rahe hain main dil nishane pe la raha hun nahin fasane ka koi maqsad wo sun rahe hain suna raha hun nahin wo banne ke apne 'bekhud' main khud ko un ka bana raha hun