dil ke aaine mein nit jalwa-kunan rahta hai hum ne dekha hai tu ai shokh jahan rahta hai koi din ghar se na nikle hai agar wo khurshid muntazir sham talak ek jahan rahta hai jhad daman ke tain mar ke thokar nikle kahin roke se bhi wo sarw-e-rawan rahta hai gahe mahe ai mah-e-id idhar bhi to guzar roz o shab bazm mein tera hi bayan rahta hai bawajud-e-ki mujhe rabt-e-dili hai us se ye na puchha kabhu 'iman' kahan rahta hai