dil ke afsane ko afsana samajhne wale khub samjhe mujhe diwana samajhne wale dekh kar bhi na kabhi jaan sake husn ka raaz ishq ko ilm se begana samajhne wale aa tujhe zabt ke israf se aagah karun aah ko dard ka paimana samajhne wale shaikh jagir samajhta hai khudai ko bhi hum khuda ko bhi kisi ka na samajhne wale qais se dasht mein kya khub mulaqat rahi log milte nahin rozana samajhne wale ghar ko laute bhi to bikhre hue laute 'rahil' khud ko khak-e-rah-e-jaanana samajhne wale