dil ke dagh mein sisa hai aur zakhm-e-jigar mein tanba hai itna bhaari sina le kar shakhs aawara phirta hai kanch ke reze tez hawa mein bawle udte phirte hain nange badan ki chandni se phir tara tara girta hai aadhe ped pe sabz parinde aadha ped aasebi hai kaise khule ye ram-kahani kaun sa hissa mera hai kale dewta mutthi bhar bhar sune gharon mein phenkte hain kohr-zada basti ke chauk mein rakh ka uncha tila hai sard shabon ka pochhne walo in raaton ke tare dur dhundle chand ki nabzen gungi aag ka chehra nila hai piplon wali galiyan ujdi dher hain pile patton ke samne wali surkh haweli mein bhuton ka dera hai