do qadam sath kya chala rasta ban gaya mera ham-nawa rasta bichhda apne musafiron se jab kitna mayus ho gaya rasta sab hain manzil ki justuju mein yahan kaun dekhe bura bhala rasta aisi hone lagi thakan us ko din ke dhalte hi so gaya rasta phir nai kaenat dekhunga mere andar agar mila rasta tu bada khush-nasib hai 'azar' tujh pe aasan ho gaya rasta