dil ke dariya ko kisi roz utar jaana hai itna be-samt na chal laut ke ghar jaana hai us tak aati hai to har chiz thahar jati jaise pana hi use asl mein mar jaana hai bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai dil ko rukna hai ki taron ko thahar jaana hai kaun ubharte hue mahtab ka rasta roke us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jaana hai main khila hun to usi khak mein milna hai mujhe wo to khushbu hai use agle nagar jaana hai wo tere husn ka jadu ho ki mera gham-e-dil har musafir ko kisi ghat utar jaana hai