lafzon mein ek nae safar ka karta hai aaghaz badan nuqta nuqta phail ke mujh ko deta hai aawaz badan har-pal tut bikharna khadsha thes lage to kanp uthta hai shisha shisha rup liye hai patthar ka dam-saz badan udta baadal dhalti chhaya ek ek pal mein sau sau kaya udte roz-o-shab se aage karta hai parwaz badan anjaani an-dekhi sadaen aksar dastak de jati hain mujh ko barahna kar deta hai aksar ye ghammaz badan kitne hatim bhatke barson lauh-e-tilism-e-raaz liye phir bhi ek asrar ka sahra phir bhi hai ek raaz badan ek ek tar nafas se ab tak lipti hai us lams ki khushbu ek din shayad takraya tha mujh se koi shahnaz badan