dil ke hathon kharab ho jaana zindagi kaamyab ho jaana mujh se kab aise moajize honge khud hi izzat-maab ho jaana aaj gul ban le zakhm-e-tanhai phir kabhi aaftab ho jaana main ne taskin-e-karb mangi hai ai dua mustajab ho jaana jab kisi imtihan se khauf lage tum mere ham-rikab ho jaana khwab ko sach mein dhaalne ki lagan dekhiyo khud na khwab ho jaana