kahin bhi zindagi apni guzar sakta tha wo chahta to main danista haar sakta tha zamin panw se mere lipat gai warna main aasman se tare utar sakta tha jala rahi hain jise tez dhup ki nazren wo abr bagh ki qismat sanwar sakta tha ajib moajaza-kari thi us ki baaton mein ki wo yaqin ke jazire ubhaar sakta tha mere makan mein diwar hai na darwaza mujhe to koi bhi ghar se pukar sakta tha pur-itminan thin us ki rifaqaten 'balraj' wo aaine mein mujhe bhi utar sakta tha