dil ke makan mein aankh ke aangan mein kuchh na tha jab gham na tha hayat ke daman mein kuchh na tha ye to zara batao hamein ahl-e-karwan un rahbaron mein kya hai jo rahzan mein kuchh na tha zulmat ka jab tilism na tuta nigah se raushan hua ki dida-e-raushan mein kuchh na tha wo to bahaar ka hamein rakhna pada bharam warna ye waqia hai ki gulshan mein kuchh na tha mujh par ba-taur-e-khas thi us ki nigah-e-lutf kahta main kis tarah mere dushman mein kuchh na tha ye bhi durust hai ki nasheman mein barq thi ye bhi ghalat nahin ki nasheman mein kuchh na tha 'fazil' rukh-e-hayat pe yun thin masarraten jaise gham-e-hayat ki uljhan mein kuchh na tha