koi sunta hi nahin kis ko sunane lag jaen dard agar utthe to kya shor machane lag jaen bhed aisa ki girah jis ki talab karti hai umr ramz aisa ki samajhne mein zamane lag jaen aa gaya wo to dil o jaan bichhe hain har-su aur nahin aae to kya khak udane lag jaen teri aankhon ki qasam hum ko ye mumkin hi nahin tu na ho aur ye manzar bhi suhane lag jaen wahshaten itni badha de ki gharaunde dha den sabz shakhon se parindon ko udane lag jaen aisa daru ho rah-e-ishq se baz aaen qadam aisa chaara ho ki bas hosh thikane lag jaen