dil ke mamure ki mat kar fikr fursat chahiye aise virane ke ab basne ko muddat chahiye ishq-o-mai-khwari nibhe hai koi darweshi ke beach is tarah ke kharj-e-la-hasil ko daulat chahiye aaqibat farhad mar kar kaam apna kar gaya aadmi howe kisi peshe mein jurat chahiye ho taraf mujh pahlwan shaer ka kab aajiz sukhan samne hone ko sahab fan ke qudrat chahiye ishq mein wasl-o-judai se nahin kuchh guftugu qurb-o-baad us ja barabar hai mohabbat chahiye nazuki ko ishq mein kya dakhl hai ai bul-hawas yan saubat khinchne ko ji mein taqat chahiye tang mat ho ibtida-e-ashiqi mein is qadar khairiyat hai 'mir' sahib-e-dil salamat chahiye