unhen aadat hamein lazzat sitam ki udhar shamshir idhar taqdir chamki kahun kya dard-e-dil kab se badha hai nigah-e-lutf tum ne jab se kam ki qadam chumenge tere ho ke pamal chalenge chaal hum naqsh-e-qadam ki yahan tak un ke wade jhut nikle qasam ko bhi hui hajat qasam ki wo zulf-e-mushk-bu bikhri hui thi khuli chori nasim-e-subh-dam ki yahan tak un ko pas-e-raaz-e-khat tha ki khame ki zaban pahle qalam ki zamin par is ada se panw rakkha ki aankhen khul gain naqsh-e-qadam ki kahan piri mein wo raushan-bayani zaban to hai charagh-e-subh-dam ki kahan hum aur kahan bakhshish hamari 'jalil' ek mauj bhi abr-e-karam ki