dil ke mariz zehn ke bimar kyon hue

dil ke mariz zehn ke bimar kyon hue
zulfon se khelte the sar-e-dar kyon hue

chilman mein iztirab ki ek kaifiyat thi kyon
jalwe nazar ke sath gunahgar kyon hue

diwana apne aap se karta tha kuchh kalam
lekin ye zard aap ke rukhsar kyon hue

angare jis chaman mein khile the bajae phul
us ki khizan ke aap azadar kyon hue

bazar mein to shahd ki botal garan nahin
talkhi hai nagawar to mai-khwar kyon hue

nazuk bahut the panw to sahra-e-ishq mein
kuchh dur sath chal ke gunahgar kyon hue

bal kha rahe hain subha-o-zunnar is liye
'ehsan' asir-e-gesu-e-kham-dar kyon hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close