kar gaya gosha-nashinon pe ye ehsan koi

kar gaya gosha-nashinon pe ye ehsan koi
de gaya mashghala-e-chaak-gareban koi

hai yahi shauq ki pasti-o-bulandi ka mizaj
farsh ki gard koi arsh ka mehman koi

zoaf-o-himmat ke karishme hain che mumkin che muhaal
kaam mushkil hai koi aur na aasan koi

aaj wo din hai ki raushan hai shabistan-e-khayal
rok de badh ke zara gardish-e-dauran koi

zulf-o-kakul ka fasana ho kisi tarah daraaz
is kham-o-pech mein hai silsila-jumban koi

aur bhi zakhm hain ai chaak-e-gareban-e-junun
tu hanse ya na hanse hoga numayan koi

aise sahra mein jahan nakhl ka saya bhi na tha
badh gaya chhod ke tanha hamein 'ehsan' koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close