dil ke parde pe chehre ubharte rahe muskuraate rahe aur hum so gae teri yaadon ke jhonke guzarte rahe thapthapate rahe aur hum so gae yaad aata raha kucha-e-raftagan sar pe saya-fagan hijr ka aasman na-rasai ke sadme nikharte rahe dil jalate rahe aur hum so gae hijr ke ratjagon ka asar yun hua wasl-e-jaanan ka lamha basar yun hua dosh par us ke gesu bikharte rahe gudgudate rahe aur hum so gae kaise tajdid-e-ahd-e-wafa kijiye gham maza de rahe hain so kya kijiye dar pe aa kar wo aksar thaharte rahe khatkate rahe aur hum so gae awwal awwal to har shab qayamat hui rafta rafta hamein aisi aadat hui ghar ke aangan mein gham raqs karte rahe ghul machate rahe aur hum so gae