jis ko itna chaha main ne jis ko ghazal mein likkha chand chhod gaya hai mujh ko kaise aaj wo mera apna chand apne chand ki sochon mein gum baitha tha tanhai mein jaane mere dil ke sune aangan mein kab nikla chand chhup jae kabhi samne aae khele aankh-micholi kyon meri jaan mujhe lagta hai bilkul tere jaisa chand dukh ho sukh ho ranj khushi ho mushkil ho ya aasani har mausam mein sath nibhae mera yar purana chand nafsa-nafsi ka aalam hai sab ko apni fikr padi apni dharti apna ambar apna suraj apna chand chehron se khushiyan ojhal hain aur ghamon se dil bojhal ab ke apne des mein nikla id pe jaane kaisa chand