dil ke sahra par dete hain jab ashkon ke sagar dastak

dil ke sahra par dete hain jab ashkon ke sagar dastak
ruh ke sannate mein sunta hun main andar bahar dastak

ab tak har shab sote sote chaunk uthta hun tanhai mein
muddat biti main ne suni thi ek shab apne dar par dastak

sham ka dhalta suraj dur ufuq par thahra soch raha hai
kab shab bite aur wo de phir subh ke darwaze par dastak

bhigi shab ke sannate mein aise is ka dhyan aata hai
jaise kisi talab ke pani par deta hai kankar dastak

ab tak zehn pe mandlati hai dukh si pili sham saloni
dil mein aas niras ki uljhan main tanha is ka dar dastak

abhi to ummidon ne shish mahal mein rahne ki sochi thi
abhi se kyon dete hain dar par mahrumi ke patthar dastak

tan ka khali bartan chhan se baj uththa aazad jab us ne
is par ek shab de di pahan kar ek khwahish ki jhanjhar dastak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close