dil ke sukun ke waste bhatke kahan kahan tute hazar martaba bikhre kahan kahan aakhir to bah gaya meri aankhon se zar zar ashkon ka aabshaar hai simte kahan kahan jab hadse hi hadse apna nasib hain kis kis pe roe aankh ye barse kahan kahan khushbu hamari pa ke wo laut aaega kabhi barson isi umid mein mahke kahan kahan aap aarzu ki shakl mein kitne qarib hain hum justuju mein aap ki bhatke kahan kahan qismat hai sath agar to dua bhi hai pur-asar warna kiye hain hum ne bhi sajde kahan kahan