us ek dar ko bhi diwar kar ke aaya hun main apne aap se inkar kar ke aaya hun mujhe khabar hai ki ye pyas mar dalegi magar main aab ko dushwar kar ke aaya hun bacha bacha ke rakha tha jise zamane se wo gumbad aaj main mismar kar ke aaya hun mubaada khwab bikharna muhaal ho jae main khud ko nind se bedar kar ke aaya hun na tairti thi na jo dubti thi muddat se hawale kashti ko manjdhaar kar ke aaya hun mera qusur bas itna hi sa to hai 'ayyub' ki dubte ko main us par kar ke aaya hun