dil ke zakhmon ko zamane se chhupane ke liye hansna padta hai yahan sab ko dikhane ke liye kab se baithe hain meri aankh ki angnai mein khwab bachchon ki tarah shor machane ke liye apne didar ka sharbat to pila de hum ko hum to aae hain tere shahr se jaane ke liye mere ashaar hi daulat ye khazana hai mera dhundhta rahta hun kuchh sanp khazane ke liye raundne ke liye tayyar hain sare apne koi raazi hi nahin mujh ko uthane ke liye tajarbe apne kahan tak likhen 'rahi' hum bhi ab to misra bhi nahin koi uthane ke liye