mata-e-hosh yahan sab ne bech dali hai tumhaare shahr ki tahzib hi nirali hai hum ahl-e-dard hain taqsim ho nahin sakte hamari dastan gulshan mein dali dali hai na jaane bazm se kis ko utha diya tum ne tamam shahr-e-wafa aaj khali khali hai talluqat ko tute hue zamana hua wo ek nigah magar aaj bhi sawali hai khulus bantta main sab ke ghar gaya lekin tum aaj aae ho jab mera hath khali hai kisi ki shamen sar-e-sham bujh gain 'nayyar' kisi ke shahr mein lekin abhi diwali hai