dil kho gaya hamara kisi se mila ke hath ho dastaras to katiye duzd-e-hina ke hath ek tasma rah gaya hai rag-e-jaan ka laga hua jhuta pada hai aah kahan un ka ja ke hath hathon pe hum ko nag khilane ki mashq hai chhute hain hum jabhi tere gesu badha ke hath phaila le panw khol ke dil ai shab-e-firaq baithe hain hum bhi zist se apni utha ke hath kyun hath-paon mere khushi se na bhul jaen ungli chubowe hath mein jab wo mila ke hath wo aade hathon lun ki akad sari bhul jae munh ki na khana shaikh-ji hum se mila ke hath sarson jamani hathon pe yun sikh le koi dil se mila liya hai dil un se mila ke hath ye bekasi ke hathon hua hai hamara haal paigham bhejte hain hum un ko saba ke hath 'kaifi' na nazuki pe tum is but ki bhulna dekhe nahin abhi kisi nazuk-ada ke hath