dhundhne se yun to is duniya mein kya milta nahin sach agar puchho to sachcha aashna milta nahin aap ke jo yar bante hain wo hain matlab ke yar is zamane mein muhibb-e-ba-safa milta nahin siraton mein bhi hai insanon ki baham ikhtilaf ek se surat mein jaise dusra milta nahin dair o kaba mein bhatakte phir rahe hain raat din dhundhne se bhi to bandon ko khuda milta nahin hain pareshan aur hairan jaen to jaen kidhar rah-gum-gashton ko manzil ka pata milta nahin bul-hawas dil ki tarah har rang hai sarf-e-shikast lala o gul mein bhi rang-e-der-pa milta nahin hai yahan to sair-e-gulzar-e-khayal nau-ba-nau han asiro hum ko mazmun kuchh naya milta nahin roiye rona zamane ka to 'kaifi' kis ke pas koi is dil ke siwa dard-ashna milta nahin