dil khush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar pachhtae hum is sham-e-ghariban se nikal kar ye us se ziyan-kar to wo is se bad aaen jaun main kahan gabr o musalman se nikal kar ustad koi zor mila qais ko shayad li rah jo jangal ki dabistan se nikal kar malum nahin mujh ko ki jawega kidhar ko yun sina tera chaak-e-gareban se nikal kar guzra rag-e-gardan se ki jun shama sar apna talwar hi khata hai gareban se nikal kar na-zori mein aaya na kabhu ta-sar-mizhgan yak qatra-e-khun bhi bun-e-mizhgan se nikal kar tiron mein kaman-dar mera gher le jis ko wo jaane na pawe kabhi maidan se nikal kar hum aap fana ho gae ai hasti-e-mauhum jun mauj-e-tabassum lab-e-jaanan se nikal kar surat ke teri samne rah jae hai kaise har but ki nigah dida-e-hairan se nikal kar us dast-e-hinai mein raha aaina akasr dariya na gaya panja-e-marjaan se nikal kar ab padh wo ghazal 'mushafi' tu shusta o rafta sunne jise khalq aae safahan se nikal kar