tark un se rasm-o-rah-e-mulaqat ho gai yun mil gae kahin to koi baat ho gai dil tha udas aalam-e-ghurbat ki sham thi kya waqt tha ki tum se mulaqat ho gai ye dasht-e-haul-khez ye manzil ki dhun ye shauq ye bhi khabar nahin ki kahan raat ho gai rasm-e-jahan na chhut saki tark-e-ishq se jab mil gae to pursish-e-haalat ho gai khu bu rahi sahi thi jo mujh mein khulus ki ab wo bhi nazr-e-rasm-e-inayat ho gai dilchasp hai 'salim' hikayat teri magar ab so bhi ja ki yar bahut raat ho gai