dil ki aaraish-e-alam ka tamasha dekhe

dil ki aaraish-e-alam ka tamasha dekhe
gar kabhi khud pe nazar jae to sahra dekhe

aankh wo aankh jo har qatre mein dariya dekhe
tu magar samne aa jae to phir kya dekhe

khwab mein ho to ye dil dekhe teri did ke khwab
khwab se jage to ek khwab si duniya dekhe

jo samajhta hai ki khul jata hai fariyaad se bakht
su-e-aflak kabhi hath wo phaila dekhe

ibtila mein hain sabhi rah-raw-e-manzil-e-shauq
kis ko fursat ki mere panw ka kanta dekhe

'arsh' agar lafz-o-maani ke ho tum paighambar
ek taswir bana jao ki duniya dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close