ek teri be-rukhi se zamana khafa hua ai sang-dil tujhe bhi khabar hai ki kya hua daryuza-gar samajh ke to thi multafit hayat wo yun kaho ki daman-e-dil hi na wa hua duba kuchh is tarah se mera aaftab-e-dil sab kuchh hua ye phir na sahar-ashna hua yun us ke dar pe baithe hain jaise yahin ke hon hae ye dard-e-ishq jo zanjir-e-pa hua chhini hai ishq ne tab-o-tab-e-dimagh-o-dil main kaise shah-zor se zor-azma hua ghar se chalo to bandh ke sar se kafan chalo shahr-e-wafa se dasht-e-fana hai mila hua dil de ke khush hun main ki hifazat ka gham gaya tujh se qarib hai wo jo mujh se juda hua lab se laga to bhul gae hum gham-e-hayat saghar mein koi tujh sa hasin hai chhupa hua pi hum ne khub 'arsh' kashid-e-nigah-o-dil kis mai-kade ka dar tha jo hum par na wa hua