dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain bit gaya sawan ka mahina mausam ne nazren badlin lekin in pyasi aankhon se ab tak aansu bahte hain ek hamein aawara kahna koi bada ilzam nahin duniya wale dil walon ko aur bahut kuchh kahte hain jin ki khatir shahr bhi chhoda jin ke liye badnam hue aaj wahi hum se begane begane se rahte hain wo jo abhi is rahguzar se chaak-gareban guzra tha us aawara diwane ko 'jalib' 'jalib' kahte hain