hamare sar har ek ilzam dhar bhi sakta hai wo mehrban hai ye ehsan kar bhi sakta hai chaman tu apni bahaaron pe itna naz na kar shajar se husn ka zewar utar bhi sakta hai wo jis ne zist guzari hai qaid-e-zulmat mein wo ek kiran se ujale ki dar bhi sakta hai kahan tak aap lagaenge us pe zabt ke bandh kabhi ye aankhon ka dariya biphar bhi sakta hai ye khak o sang hi kya sath-e-ab par 'shaarib' hamara naqsh-e-qadam hai ubhar bhi sakta hai