dil ki barbaadi ke aasar abhi baqi hain kuchh shikasta dar-o-diwar abhi baqi hain chand parwane hi raqsan hain magar sham-e-hazin shukr kar kuchh tere gham-khwar abhi baqi hain chand ghunchon ke jigar si ke rafugar na bano kitne dil hain jo dil-afgar abhi baqi hain waqt aaya to tah-e-tegh bhi dohra denge wo fasane jo sar-e-dar abhi baqi hain ai mashihao kabhi ghar se nikal kar dekho kis qadar shahr mein bimar abhi baqi hain su-e-virana nikal aae jo diwane to kya zehn mein to dar-o-diwar abhi baqi hain khatm musa pe kahan silsila-e-shauq hua kitne hi talib-e-didar abhi baqi hain mere daman ko na dekho sar-e-mizhgan dekho kis qadar abr-guhar-bar abhi baqi hain uqde khulte hi chale jate hain har roz nae ghaaliban mahram-e-asrar abhi baqi hain uljhanen hum ko bhi darkar hain utni jitne tujh mein kham kakul-e-khamdar abhi baqi hain tinke tinke pe teri yurish-e-paiham phir bhi aashiyan barq-e-sharar-bar abhi baqi hain kis mein jurat hai jo phulon pe nazar dal sake pasbani ke liye khar abhi baqi hain jo badal sakte hain mai-khane ka dastur-e-kuhan chand aise bhi to mai-khwar abhi baqi hain dekh kar misr ke bazar ki raunaq 'rahi' dil ye kahta hai kharidar abhi baqi hain