tir o kaman, khanjar o talwar ban gae dushman mila to hath bhi hathiyar ban gae lafzon ke kaise kaise maani badal gae kirdar-kush bhi sahab-e-kirdar ban gae jab se koi usul-e-tijarat nahin raha bazriyon ke nam pe bazar ban gae qadghan ke bawajud kahan aa gaya hun main darwaze mere samne diwar ban gae us ki zaban pe harf the unwan ki tarah afsane saikdon pas-e-izhaar ban gae is qafile mein gard barabar thi jin ki zat wapas hue to qafila-salar ban gae khat khinchte hue koi bachcha bada hua kal ke khutut aaj ke shahkar ban gae