dil ki dahliz pe dilbar aaya pyas ke dar pe samundar aaya chalte chalte teri khushbu aai main ye samjha ki tera ghar aaya dhup mein chhanw numudar hui kaun aakhir sar-e-mahshar aaya asl mein thi wo hawai aahat main badi tezi se bahar aaya thin khataen to sarasar dil ki zad mein aaya to mera sar aaya chhut kar tujh se kahin ja na mili laut kar phir tere dar par aaya us ko lauta diye sab us ke khutut hae nadan ye kya kar aaya yar aaya ki na aaya 'atib' nama-e-yar barabar aaya