gerwe kapde badan par hath lohe ke kade le malamat-dar sufi dar pe tere aa pade ikhtiyaraat-e-dayar-e-dahr hasil hon mujhe mehr se sona-kashidon mah se chandi jhade bhej de mujh ko jahan-e-hissiyat-o-lams mein shor se uljhe samaat aankh se manzar lade surkh inton ki gali tak jaen hum diwana-war dafatan apni nigah us ke dariche par pade us taffun-gah sa ek aur sayyara bhi ho ped marte hon jahan talab mein pani sade har masiha-e-zaman ko khair-maqdam chahiye taj ho kanton ka sar par mekh hathon mein gade