dil ki duniya dekh kar kyun rang-e-duniya dekhte dekhne walo nahin hum dekh kar kya dekhte jalwa-gah-e-dil mein aa jate wo be-parda agar hum bhi rang-e-be-khudi hum rang-e-musa dekhte chaudhwin ka chand hota hai darakhshan jis tarah yun tasawwur mein kisi ko jagmagata dekhte gharq ho jate mohabbat mein mohabbat-ashna sahil-o-dariya se bhi kar ke kinara dekhte jazb ho kar rah gae khud hi nigah-e-barq mein kyunkar aankhon se nasheman apna jalta dekhte main kabhi jalwa hun tera tu kabhi partaw mera umr guzri ja rahi hai ye tamasha dekhte hote wo jalwa-numa gul-paikar-o-gul-pairahan hum unhen 'makhmur' firdaus-e-tamasha dekhte