kuchh baat rah gai thi batane ke bawajud hun haalat-e-safar mein ghar aane ke bawajud dil se utar chuka tha jo aa kar gale mila duri wahi thi dil se lagane ke bawajud hathon mein ab bhi us ki hai khushbu basi hui jo rah gai thi hath chhudane ke bawajud purze wo khat ke aaj bhi rakkhe hain mere pas jo bach gae the khat ko jalane ke bawajud nam us ka mere dil pe chhapa is tarah se hai yun naqsh hai abhi bhi mitane ke bawajud mujh ko bhi ye kamal-e-hunar hai mila hua main ji rahi hun us ko bhulane ke bawajud koi bhi ham-shanas nahin ham-nawa nahin rishton mein ek khala hai nibhane ke bawajud teri sadaen aain jo mazi ki samt se hum ruk gae hain panw badhane ke bawajud jo zid mein badh gae the zaminon ko raund kar khush kyon nahin hain aasman pane ke bawajud ye kaisa intizar ki hota nahin hai khatm tu aa gaya magar tere aane ke bawajud