dil ki har baat dhyan mein guzri sari hasti guman mein guzri azal-e-dastan se is dam tak jo bhi guzri ek aan mein guzri jism muddat teri uqubat ki ek ek lamha jaan mein guzri zindagi ka tha apna aish magar sab ki sab imtihan mein guzri hae wo nawak-e-guzarish-e-rang jis ki jumbish kaman mein guzri wo gadai gali ajab thi ki wan apni ek aan-ban mein guzri yun to hum dam-ba-dam zamin pe rahe umr sab aasman mein guzri jo thi dil-taeron ki mohlat-e-bud ta zamin wo udan mein guzri bud to ek takan hai so khuda teri bhi kya takan mein guzri