dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta is taraf ek chehra us taraf hai ek chehra is taraf raushni ke istiare us kinare rah gae ab to shab mein koi jugnu hai na tara is taraf tum hawa un khidkiyon se sirf itna dekhna us ne koi khat kisi ke nam likkha is taraf ye mohabbat bhi ajab taqsim ke mausam mein hai sara jazba is taraf hai sirf lahja is taraf man ne koi khauf aisa rakh diya dil mein mere sach kabhi main bol hi pai na pura is taraf ek halki si chubhan ehsas ko ghere rahi guftugu mein jab tumhaara zikr aaya is taraf sirf aankhen kanch ki baqi badan patthar ka hai ladkiyon ne kis tarah rup dhaara is taraf ai hawa ai mere dil ke shahr se aati hawa tujh ko kya paigham de kar us ne bheja is taraf kis tarah ke log hain ye kuchh pata chalta nahin kaun kitna us taraf hai kaun kitna is taraf