ajab shikast ka ehsas dil pe chhaya tha kisi ne mujh ko nishana nahin banaya tha usi nigah ne aankhon ko kar diya patthar usi nigah mein sab kuchh nazar bhi aaya tha yahan to ret hai patthar hain aur kuchh bhi nahin wo kya dikhane mujhe itni dur laya tha ulajh gaya hun kuchh aisa ki yaad bhi to nahin ye wahm pahle-pahal kaise dil mein aaya tha wo main nahin tha tumhaari taraf sarakta hua hawas ne tirgi ka faeda uthaya tha bichhadna itna hi aasan tha agar us se to khud-kushi ka ye saman kyun jutaya tha gila to aaj bhi sachchai hai magar 'shaariq' ye jhut us se mein pahle hi bol aaya tha