dil ki mere bisat kya ek diya bujha hua tum ne ise baja kaha ek diya bujha hua sar pe musallat ki gain sare jahan ki zulmaten aur mujhe de diya gaya ek diya bujha hua hum ne to gul kiye the khud apni ummid ke charagh aap ne kyun jala diya ek diya bujha hua dil se na mere puchhiye aalam-e-tark-e-arzu taq mein jis ke rah gaya ek diya bujha hua aaina-e-wajud mein khud ko jo dekhne gaya mera hi aks ban gaya ek diya bujha hua jab yake-baad-digre sare charagh bujh gae aap hi aap jal utha ek diya bujha hua aap ki kya misal dun aap to be-misal hain aur meri misal kya ek diya bujha hua main ne to us ko bakhsh di qalb-o-nazar ki raushni us ne khayal ko diya ek diya bujha hua ishq mein khak ho ke bhi 'akhgar' ek aag si rahi mujh mein ba-har-nafas jala ek diya bujha hua