haal-e-dil-e-bimar samajh mein chaaragaron ki aae kam bechaini ho jae ziyaada dard agar ho jae kam ashk nigal jaun to yaqinan shiddat-e-gham ho jae kam dil ka jhulas jaana lazim hai aah jo lab par aae kam mujh ko hai taslim qafas mein phulon ke hain sae kam hae magar wo jin ko chaman ki aab-o-hawa ras aae kam rah-e-talab mein har manzil par ho tajdid-e-azm-e-safar rahraw ko aaram na aae aur jo aae aae kam qamat-e-fan ki baat alag meyar-e-hunar ki baat alag shahr-e-sukhan gunjaan hai lekin hain mere ham-sae kam apne aib se waqif hona sab se bada hai kar-e-hunar aadmi khud aaina dekhe auron ko dikhlae kam puchhne walo haal na puchho ishq mein ab ye aalam hai khud par hansna aae ziyaada dil par rona aae kam aariz-e-rangin kahne mein tausif to hai tashbih nahin phul pe aae us ki shabahat phul ki us par aae kam shahr-e-nafas se wadi-e-jaan tak saikdon nazuk rishte hain sans na rukne pae 'akhgar' dard na hone pae kam