dil ki parwaz hai la-makan tak aql ki jast hai aasman tak barq tadpi to aai kahan tak aashiyan bas mere aashiyan tak dard ka silsila hai jahan tak dil ki jagir hogi wahan tak log kahte hain ab rah gaya hai tera qissa meri dastan tak aap rasman hi kyun muskurae dekhiye baat phaili kahan tak shauq ke marhale bhi hain sare sirf ehsas-e-sud-o-ziyan tak hum to hadd-e-yaqin se bhi guzre aap kyun rah gae hain guman tak ab jabin nang-e-sajda nahin hai kaun jae tere aastan tak maut aati hai to aae 'tarzi' baat dil ki na aae zaban tak